Jab Sitaron Ki Rida Kandhe Se Sarkati Hai Raat

jab sitaron ki rida kandhe se sarkati hai raat

chand ke sine se lag kar nur ban jati hai raat

KHud taDap kar kis qadar mujh ko bhi taDpati hai raat

ashk-e-shabnam jab meri haalat pe barsati hai raat

KHun-e-dil de kar ufuq rangin kar jati hai raat

raushni hone se pahle qatl ho jati hai raat

subh-e-nau se kis liye is darja ghabraati hai raat

dekh kar KHurshid ko jaane kidhar jati hai raat

tirgi-e-hijr ko had se baDha jati hai raat

aap ke aane se pahle kyun chali aati hai raat

main nazar ban jaun to taswir ban jati hai raat

un ki yaadon ke diye ki lau baDha jati hai raat

din guzar jata hai 'afshan' mahfil-e-ahbab mein

qasr-e-tanhai mein chupke se chali aati hai raat

(665) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Sitaron Ki Rida Kandhe Se Sarkati Hai Raat In English By Famous Poet Arjumand Bano Afshan. Jab Sitaron Ki Rida Kandhe Se Sarkati Hai Raat is written by Arjumand Bano Afshan. Read famous Poem Jab Sitaron Ki Rida Kandhe Se Sarkati Hai Raat for youth and Student by Arjumand Bano Afshan. Free Download Jab Sitaron Ki Rida Kandhe Se Sarkati Hai Raat in PDF.