Nigah-e-lutf Mat UTh KHugar-e-alam Rahne De

nigah-e-lutf mat uTh KHugar-e-alam rahne de

hamein nakaam rahna hai hamein nakaam rahne de

kisi masum par be-dad ka ilzam kya mani

ye wahshat-KHez baaten ishq-e-bad-anjam rahne de

abhi rahne de dil mein shauq-e-shorida ke hangame

abhi sar mein mohabbat ka junun-e-KHam rahne de

abhi rahne de kuchh din lutf-e-naghma masti-e-sahba

abhi ye saz rahne de abhi ye jam rahne de

kahan tak husn bhi aaKHir kare pas-e-rawa-dari

agar ye ishq KHud hi farq-e-KHas-o-am rahne de

ba-in rindi 'majaz' ek shaer-e-mazdur-o-dahqan hai

agar shahron mein wo bad-nam hai bad-nam rahne de

(931) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-lutf Mat UTh KHugar-e-alam Rahne De In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Nigah-e-lutf Mat UTh KHugar-e-alam Rahne De is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Nigah-e-lutf Mat UTh KHugar-e-alam Rahne De for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Nigah-e-lutf Mat UTh KHugar-e-alam Rahne De in PDF.