Wo Naqab Aap Se UTh Jae To Kuchh Dur Nahin

wo naqab aap se uTh jae to kuchh dur nahin

warna meri nigah-e-shauq bhi majbur nahin

KHatir-e-ahl-e-nazar husn ko manzur nahin

is mein kuchh teri KHata dida-e-mahjur nahin

lakh chhupte ho magar chhup ke bhi mastur nahin

tum ajab chiz ho nazdik nahin dur nahin

jurat-e-arz pe wo kuchh nahin kahte lekin

har ada se ye Tapakta hai ki manzur nahin

dil dhaDak uThta hai KHud apni hi har aahaT par

ab qadam manzil-e-jaanan se bahut dur nahin

hae wo waqt ki jab be-piye mad-hoshi thi

hae ye waqt ki ab pi ke bhi maKHmur nahin

husn hi husn hai jis samt uThata hun nazar

ab yahan tur nahin barq-e-sar-e-tur nahin

dekh sakta hun jo aankhon se wo kafi hai 'majaz'

ahl-e-irfan ki nawazish mujhe manzur nahin

(749) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Naqab Aap Se UTh Jae To Kuchh Dur Nahin In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Wo Naqab Aap Se UTh Jae To Kuchh Dur Nahin is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Wo Naqab Aap Se UTh Jae To Kuchh Dur Nahin for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Wo Naqab Aap Se UTh Jae To Kuchh Dur Nahin in PDF.