Ye Jahan Bargah-e-ritl-giran Hai Saqi

ye jahan bargah-e-ritl-giran hai saqi

ek jahannam mere sine mein tapan hai saqi

jis ne barbaad kiya mail-e-fariyaad kiya

wo mohabbat abhi is dil mein jawan hai saqi

ek din aadam o hawwa bhi kiye the paida

wo uKHuwwat teri mahfil mein kahan hai saqi

har chaman daman-e-gul-rang hai KHun-e-dil se

har taraf shewan-o-fariyaad-o-fughan hai saqi

mah o anjum mere ashkon se guhar-tab hue

kahkashan nur ki ek ju-e-rawan hai saqi

husn hi husn hai jis samt bhi uThti hai nazar

kitna pur-kaif ye manzar ye saman hai saqi

zamzama saz ka pael ki chhanake ki tarah

behtar-az-shorish-e-naqus-o-azan hai saqi

mere har lafz mein betab mera shor-e-darun

meri har sans mohabbat ka dhuan hai saqi

(912) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jahan Bargah-e-ritl-giran Hai Saqi In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Ye Jahan Bargah-e-ritl-giran Hai Saqi is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Ye Jahan Bargah-e-ritl-giran Hai Saqi for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Ye Jahan Bargah-e-ritl-giran Hai Saqi in PDF.