Yunhi BaiThe Raho Bas Dard-e-dil Se Be-KHabar Ho Kar

yunhi baiThe raho bas dard-e-dil se be-KHabar ho kar

bano kyun chaaragar tum kya karoge chaaragar ho kar

dikha de ek din ai husn-e-rangin jalwa-gar ho kar

wo nazzara jo in aankhon mein rah jae nazar ho kar

dil-e-soz-ashna ke jalwe the jo muntashir ho kar

faza-e-dahr mein chamka kiye barq o sharar ho kar

wahi jalwe jo ek din daman-e-dil se gurezan the

nazar mein rah gae gul-ha-e-daman-e-nazar ho kar

falak ki samt kis hasrat se takte hain maaz-allah

ye nale na-rasa ho kar ye aahen be-asar ho kar

ye kis ke husn ke rangin jalwe chhae jate hain

shafaq ki surKHiyan ban kar tajalli ki sahar ho kar

(967) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yunhi BaiThe Raho Bas Dard-e-dil Se Be-KHabar Ho Kar In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Yunhi BaiThe Raho Bas Dard-e-dil Se Be-KHabar Ho Kar is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Yunhi BaiThe Raho Bas Dard-e-dil Se Be-KHabar Ho Kar for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Yunhi BaiThe Raho Bas Dard-e-dil Se Be-KHabar Ho Kar in PDF.