Aaj Ki Raat

dekhna jazb-e-mohabbat ka asar aaj ki raat

mere shane pe hai us shoKH ka sar aaj ki raat

aur kya chahiye ab ai dil-e-majruh tujhe

us ne dekha to ba-andaz-e-digar aaj ki raat

phul kya KHar bhi hain aaj gulistan-ba-kanar

sang-reze hain nigahon mein guhar aaj ki raat

mahw-e-gulgasht hai ye kaun mere dosh-ba-dosh

kahkashan ban gai har rahguzar aaj ki raat

phuT nikla dar-o-diwar se sailab-e-nashat

allah allah mera kaif-e-nazar aaj ki raat

shabnamistan-e-tajalli ka fusun kya kahiye

chand ne phenk diya raKHt-e-safar aaj ki raat

nur hi nur hai kis samt uThaun aanhken

husn hi husn hai ta-hadd-e-nazar aaj ki raat

qasr-e-giti mein umanD aaya hai tufan-e-hayat

maut larzan hai pas-e-parda-e-dar aaj ki raat

allah allah wo peshani-e-simin ka jamal

rah gai jam ke sitaron ki nazar aaj ki raat

aariz-e-garm pe wo rang-e-shafaq ki lahren

wo meri shoKH-nigahi ka asar aaj ki raat

nargis-e-naz mein wo nind ka halka sa KHumar

wo mere naghma-e-shirin ka asar aaj ki raat

naghma o mai ka ye tufan-e-tarab kya kahiye

ghar mera ban gaya 'KHayyam' ka ghar aaj ki raat

meri har sans pe wo un ki tawajjoh kya KHub

meri har baat pe wo jumbish-e-sar aaj ki raat

wo tabassum hi tabassum ka jamal-e-paiham

wo mohabbat hi mohabbat ki nazar aaj ki raat

uf wo waraftagi-e-shauq mein ek wahm-e-latif

kapkapae hue honTon pe nazar aaj ki raat

mazhab-e-ishq mein jaez hai yaqinan jaez

chum lun main lab-e-lalin bhi agar aaj ki raat

apni rifat pe jo nazan hain to nazan hi rahen

kah do anjum se ki dekhen na idhar aaj ki raat

un ke altaf ka itna hi fusun kafi hai

kam hai pahle se bahut dard-e-jigar aaj ki raat

(1222) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Ki Raat In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Aaj Ki Raat is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Aaj Ki Raat for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Aaj Ki Raat in PDF.