Allahabad Se

allahabad mein har-su hain charche

ki dilli ka sharabi aa gaya hai

ba-sad aawargi ya sad tabahi

ba-sad KHana-KHarabi aa gaya hai

gulabi lao chhalkao lunDhao

ki shaida-e-gulabi aa gaya hai

nigahon mein KHumar-e-baada le kar

nigahon ka sharabi aa gaya hai

wo sarkash rahzan-e-aiwan-e-KHuban

ba-azm-e-baryabi aa gaya hai

wo ruswa-e-jahan nakaam-e-dauran

ba-zoam-e-kaamyabi aa gaya hai

butan-e-naz-farma se ye kah do

ki ek tark-e-shahabi aa gaya hai

nawa-sanjaan-e-sangam ko bata do

harif-e-faryabi aa gaya hai

yahan ke shahr yaron ko KHabar do

ki mard-e-inqilabi aa gaya hai

(790) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Allahabad Se In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Allahabad Se is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Allahabad Se for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Allahabad Se in PDF.