Andheri Raat Ka Musafir

jawani ki andheri raat hai zulmat ka tufan hai

meri rahon se nur-e-mah-o-anjum tak gurezan hai

KHuda soya hua hai ahrman mahshar-ba-daman hai

magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

gham o hirman ki yurish hai masaib ki ghaTaen hain

junun ki fitna-KHezi husn ki KHunin adaen hain

baDi pur-zor aandhi hai baDi kafir balaen hain

magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

faza mein maut ke tarik sae thartharaate hain

hawa ke sard jhonke qalb par KHanjar chalate hain

guzishta ishraton ke KHwab aaina dikhate hain

magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

zamin chin-bar-jabin hai aasman taKHrib par mail

rafiqan-e-safar mein koi bismil hai koi ghael

taaqub mein luTere hain chaTanen rah mein hael

magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

ufuq par zindagi ke lashkar-e-zulmat ka Dera hai

hawadis ke qayamat-KHez tufanon ne ghera hai

jahan tak dekh sakta hun andhera hi andhera hai

magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

charagh-e-dair fanus-e-haram qindil-e-rahbani

ye sab hain muddaton se be-niyaz-e-nur-e-irfani

na naqus-e-barhaman hai na aahang-e-huda-KHwani

magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

talatum-KHez dariya aag ke maidan hael hain

garajti aandhiyan biphre hue tufan hael hain

tabahi ke farishte jabr ke shaitan hael hain

magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

faza mein shoala-afshan dew-e-istibdad ka KHanjar

siyasat ki sananen ahl-e-zar ke KHun-chakan tewar

fareb-e-be-KHudi dete hue billor ke saghar

magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

badi par barish-e-lutf-o-karam neki pe taziren

jawani ke hasin KHwabon ki haibatnak tabiren

nukili tez sanginen hain KHun-asham shamshiren

magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

hukumat ke mazahir jang ke pur-haul naqshe hain

kudalon ke muqabil top banduqen hain neze hain

salasil taziyane beDiyan phansi ke taKHte hain

magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

ufuq par jang ka KHunin sitara jagmagata hai

har ek jhonka hawa ka maut ka paigham lata hai

ghaTa ki ghan-garaj se qalb-e-giti kanp jata hai

magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

fana ke aahani wahshat-asar qadmon ki aahaT hai

dhuwen ki badliyan hain goliyon ki sansanahaT hai

ajal ke qahqahe hain zalzalon ki gaDgaDahaT hai

magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

(1486) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Andheri Raat Ka Musafir In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Andheri Raat Ka Musafir is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Andheri Raat Ka Musafir for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Andheri Raat Ka Musafir in PDF.