Ayaadat

ye kaun aa gaya ruKH-e-KHandan liye hue

aariz pe rang-o-nur ka tufan liye hue

bimar ke qarib ba-sad-shan-e-ehtiyat

dildari-e-nasim-e-bahaaran liye hue

ruKHsar par latif si ek mauj-e-sar-KHushi

lab par hansi ka narm sa tufan liye hue

peshani-e-jamil pe anwar-e-tamkanat

tabindagi-e-subh-e-daraKHshan liye hue

zulfon ke pech-o-KHam mein bahaaren chhupi hui

ek karwan-e-nikhat-e-bustan liye hue

aa hi gaya wo mera nigar-e-nazar-nawaz

zulmat-kade mein sham-e-farozan liye hue

ek ek ada mein saikaDon pahlu-e-dildahi

ek ek nazar mein pursish-e-pinhan liye hue

mere sawad-e-shauq ka KHurshid-e-nim-shab

azm-e-shikast-e-mah-jabinan liye hue

dars-e-sukun-o-sabr ba-in ehtamam-e-naz

nishtar-zani-e-jumbish-e-mizhgan liye hue

aankhon se ek rau si nikalti hui har aan

gharqabi-e-hayat ka saman liye hue

hilti hui nigah mein bijli bhari hui

khilte hue labon mein gulistan liye hue

ye kaun hai 'majaz' se sar-garm-e-guftugu

donon hatheliyon pe zanaKHdan liye hue

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ayaadat In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Ayaadat is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Ayaadat for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Ayaadat in PDF.