Dilli Se Wapsi

dilli se wapsi

ruKHsat ai dilli teri mahfil se ab jata hun main

nauhagar jata hun main nala-ba-lab jata hun main

yaad aaenge mujhe tere zamin-o-asman

rah chuke hain meri jaulan-gah tere bostan

tera dil dhaDka chuke hain mere ehsasat bhi

tere aiwanon mein gunje hain mere naghmat bhi

rashk-e-shiraaz-kuhan hindostan ki aabru

sar-zamin-e-husn-o-mausiqi bahisht-e-rang-o-bu

mabad-e-husn-o-mohabbat bargah-e-soz-o-saz

tere but-KHane hasin tere kalisa dil-nawaz

zikr yusuf ka to kya kije teri sarkar mein

KHud zuleKHa aa ke bikti hai tere bazar mein

jannaten aabaad hain tere dar-o-diwar mein

aur tu aabaad KHud shair ke qalb-e-ar mein

mahfil-e-saqi salamat bazm-e-anjum barqarar

nazninan-e-haram par rahmat-e-parwardigar

yaad aaegi mujhe be-tarah yaad aaegi tu

ain waqt-e-mai-kashi aankhon mein phir jaegi tu

kya kahun kis shauq se aaya tha teri bazm mein

chhoD kar KHuld-e-ali-gaDh ki hazaron mahfilen

kitne rangin ahd-o-paiman toD kar aaya tha main

dil nawazan-e-chaman ka chhoD kar aaya tha main

ek nasheman main ne chhoDa ek nasheman chhuT gaya

saz bas chheDa hi tha main ne ki gulshan chhuT gaya

dil mein soz-e-gham ki ek duniya liye jata hun main

aah tere mai-kade se be-piye jata hun main

jate jate lekin ek paiman kiye jata hun main

apne azm-e-sarfaroshi ki qasam khata hun main

phir teri bazm-e-hasin mein lauT kar aaunga main

aaunga main aur ba-andaz-e-digar aaunga main

aah wo chakkar diye hain gardish-e-ayyam ne

khol kar rakh di hain aankhen talKHi-e-alam ne

fitrat-e-dil dushman-e-naghma hui jati hai ab

zindagi ek barq ek shoala hui jati hai ab

sar se pa tak ek KHunin rag ban kar aaunga

lala-zar-e-rang-o-bu mein aag ban kar aaunga

(1018) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dilli Se Wapsi In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Dilli Se Wapsi is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Dilli Se Wapsi for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Dilli Se Wapsi in PDF.