Ek Dost Ki KHush-mazaqi Par

ho nahin sakta teri is KHush-mazaqi ka jawab

sham ka dilkash saman aur tere hathon mein kitab

rakh bhi de ab is kitab-e-KHushk ko baala-e-taq

uD raha hai rang-o-bu ki bazm mein tera mazaq

chhup raha hai parda-e-maghrib mein mahr-e-zar-fishan

did ke qabil hain baadal mein shafaq ki surKHiyan

maujzan ju-e-shafaq hai is tarah zer-e-sahab

jis tarah rangin shishon mein jhalakti hai sharab

ek nigarish-e-atishin har shai pe hai chhaya hua

jaise aariz par urus-e-nau ke ho rang-e-haya

shana-e-giti pe lahrane ko hain gesu-e-shab

aasman mein munaqid hone ko hai bazm-e-tarab

uD rahe hain justuju mein aashiyanon ke tuyur

aa chala hai aaine mein chand ke halka sa nur

dekh kar ye sham ke nazzara-ha-e-dil-nashin

kya tere dil mein zara bhi gudgudi hoti nahin

kya teri nazron mein ye ranginiyan bhati nahin

kya hawa-e-sard tere dil ko taDpati nahin

kya nahin hoti tujhe mahsus mujh ko sach bata

tez jhonkon mein hawa ke gungunane ki sada

sabza-o-gul dekh kar tujh ko KHushi hoti nahin

uf tere ehsas mein itni bhi rangini nahin

husn-e-fitrat ki latafat ka jo tu qael nahin

main ye kahta hun tujhe jine ka haq hasil nahin

(1081) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Dost Ki KHush-mazaqi Par In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Ek Dost Ki KHush-mazaqi Par is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Ek Dost Ki KHush-mazaqi Par for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Ek Dost Ki KHush-mazaqi Par in PDF.