Ek Jila-watan Ki Wapsi

phir KHabar garm hai wo jaan-e-watan aata hai

phir wo zindani-e-zindan-e-watan aata hai

wo KHarab-e-gul-o-raihan-e-watan aata hai

misr se yusuf-e-kanan-e-watan aata hai

koi mashuq ba-sad-shaukat-o-naz aata hai

surKH bairaq hai samundar mein jahaz aata hai

rind-e-be-kaif ko thi baada-o-saghar ki talash

nazir-e-manzar-e-fitrat ko thi manzar ki talash

ek bhanwre ko KHizan mein thi gul-e-tar ki talash

KHud sanam-KHana-e-azar ko thi aazar ki talash

muzhda ai dost ki wo jaan-e-bahaar aa pahuncha!

apne daman mein liye barq-o-sharar aa pahuncha!

apna parcham wo kuchh is andaz se lahraata hai

rang aghyar ke chehron se uDa jata hai

koi shadan, koi hairan, koi sharmata hai

kaun ye sahil-e-mashriq pe nazar aata hai

apne maiKHane ka ek mai-kash-e-behaal hai ye

han wahi mard-e-jawan-baKHt o jawan-sal hai ye

mard-e-sarkash tujhe aadam ki kahani ki qasam

ruh-e-insan ke taqaza-e-nihani ki qasam

jazba-e-aish ki har shorish-e-fani ki qasam

tujh ko apni isi bad-mast jawani ki qasam

aa ki ek bar gale se to laga len tujh ko

apne aaghosh-e-mohabbat mein uTha len tujh ko

nutq to ab bhi hai par shola-fishan hai ki nahin

soz-e-pinhan se teri ruh tapan hai ki nahin

tujh pe ye bar ghulami ka giran hai ki nahin

jism mein KHun jawani ka rawan hai ki nahin

aur agar hai to phir aa tere parastar hain hum

jins-e-azadi-e-insan ke KHaridar hain hum

saqi o rind tere hain mai-e-gulfam teri

uTh ki aasuda hai phir hasrat-e-nakaam teri

barhaman tere hain kul millat-e-islam teri

subh-e-kashi tiri, sangam ki hasin sham teri

dekh shamshir hai ye saz hai ye jam hai ye

tu jo shamshir uTha le to baDa kaam hai ye

dekh badla nazar aata hai gulistan ka saman

saghar o saz na le, jang ke nare hain yahan

ye duaen hain wo mazlum ki aahon ka dhuan

mail-e-jang nazar aata hai har mard-e-jawan

sarfaroshan-e-bala-kash ka sahaara ban ja

uTh aur aflak-e-baghawat ka sitara ban ja

(1261) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Jila-watan Ki Wapsi In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Ek Jila-watan Ki Wapsi is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Ek Jila-watan Ki Wapsi for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Ek Jila-watan Ki Wapsi in PDF.