KHana-ba-dosh

basti se thoDi dur chaTTanon ke darmiyan

Thahra hua hai KHana-ba-doshon ka karwan

un ki kahin zamin na un ka kahin makan

phirte hain yunhi sham o sahar zer-e-asman

dhup aur abr-o-bar ke mare hue gharib

ye log wo hain jin ko ghulami nahin nasib

is karwan mein tifl bhi hain naujawan bhi hain

buDhe bhi hain mariz bhi hain na-tawan bhi hain

maile phaTe libas mein kuchh dewiyan bhi hain

sab zindagi se tang bhi hain sargiran bhi hain

be-zar zindagi se hain pir o jawan sabhi

altaf-e-shahryar ke hain nauha-KHwan sabhi

mathe pe saKHt-koshi-e-paiham ki dastan

aankhon mein huzn o yas ki ghanghor badliyan

chehron pe tazyana-e-iflas ke nishan

har har ada se bhuk ki betabiyan ayan

paisa agar mile to hamiyat bhi bech den

roTi ka aasra ho to izzat bhi bech den

uTThe hain jis ki god se aazar wo qaum hai

toDe hain jis ne charKH se aKHtar wo qaum hai

palTe hain jis ne dahr ke daftar wo qaum hai

paida kiye hain jis ne payambar wo qaum hai

ab kyun sharik-e-halqa-e-nau-e-bashar nahin

insan hi to hain ye koi jaanwar nahin

aaKHir zamana un ko sataega kab talak

kab se jala raha hai jalaega kab talak

kab se miTa raha hai miTaega kab talak

un ke lahu ko josh na aaega kab talak

mayusiyon ki tah mein junun-KHeziyan bhi hain

aflas ki sarisht mein KHun-reziyan bhi hain

(1463) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHana-ba-dosh In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. KHana-ba-dosh is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem KHana-ba-dosh for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download KHana-ba-dosh in PDF.