KHiraj-aqidat

ek naya paghambar-e-amn-o-aman paida hua

karwan mein ek amir-e-karwan paida hua

ek KHizr-e-ahd-e-hazir ek kalim-e-ahd-e-nau

ek sadr-e-mahfil-e-ruhaniyan paida hua

ek hudi-KHwan-e-mohabbat ek naqib-e-ittihad

ek fida-e-soz-e-naqus-o-azan paida hua

haq ka saudai haqiqat ka ilm khole hue

sidq ka shaida safa ka pasban paida hua

sar-ba-sar ek muzhda-e-taskin-e-mardan-e-zaif

quwwat-e-bazu-e-yaran-e-jawan paida hua

is chaman ki sarzamin hai ru-kash-e-haft-asman

is chaman mein tair-e-arsh-ashiyan paida hua

ek gul-e-taza jo murjha kar bhi murjhaya nahin

safha-e-hasti pe naqsh-e-jawedan paida hua

KHun se is ke aaj bhi gul-rang hai KHak-e-watan

faKHr-e-alam nazish-e-hindostan paida hua

(1129) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHiraj-aqidat In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. KHiraj-aqidat is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem KHiraj-aqidat for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download KHiraj-aqidat in PDF.