Kis Se Mohabbat Hai

bataun kya tujhe ai ham-nashin kis se mohabbat hai

main jis duniya mein rahta hun wo is duniya ki aurat hai

sarapa rang-o-bu hai paikar-e-husn-o-latafat hai

bahisht-e-gosh hoti hain guhar-afshaniyan us ki

wo mere aasman par aKHtar-e-subh-e-qayamat hai

surayya-baKHt hai zohra-jabin hai mah-e-talat hai

mera iman hai meri zindagi hai meri jannat hai

meri aankhon ko KHira kar gain tabaniyan us ki

wo ek mizrab hai aur chheD sakti hai rag-e-jaan ko

wo chingari hai lekin phunk sakti hai gulistan ko

wo bijli hai jala sakti hai sari bazm-e-imkan ko

abhi mere hi dil tak hain sharer-samaniyan us ki

zaban par hain abhi ismat o taqdis ke naghme

wo baDh jati hai is duniya se aksar is qadar aage

mere taKHil ke bazu bhi us ko chhu nahin sakte

mujhe hairan kar deti hain nukta-daniyan us ki

jabin par saya-gustar partaw-e-qindil-e-rahbani

azar-e-narm-o-nazuk par shafaq ki rang-afshani

qadam par loTti hai azmat-e-taj-e-sulaimani

azal se mo'taqid hai mahfil-e-nuraniyan us ki

adaen le ke aai hai wo fitrat ke KHazanon se

jaga sakti hai mahfil ko nazar ke tazyanon se

wo malka hai KHiraj us ne liye hain bostanon se

bas ek main ne hi aksar ki hain na-farmaniyan us ki

wo meri juraton par be-niyazi ki saza dena

hawas ki zulmaton par naz ki bijli gira dena

nigah-e-shauq ki bebakiyon par muskura dena

junun ko dars-e-tamkin de gain nadaniyan us ki

wafa KHud ki hai aur meri wafa ko aazmaya hai

mujhe chaha hai mujh ko apni aankhon par biThaya hai

mera har sher tanhai mein us ne gungunaya hai

suni hain main ne aksar chhup ke naghma-KHwaniyan us ki

mere chehre pe jab bhi fikr ke aasar pae hain

mujhe taskin di hai mere andeshe miTae hain

mere shane pe sar tak rakh diya hai git gae hain

meri duniya badal deti hain KHush-alhaniyan us ki

lab-e-lalin pe lakha hai na ruKHsaron pe ghaza hai

jabin-e-nur-afshan par na jhumar hai na Tika hai

jawani hai suhag us ka tabassum us ka gahna hai

nahin aaluda-e-zulmat sahar-damaniyan us ki

koi mere siwa us ka nishan pa hi nahin sakta

koi us bargah-e-naz tak ja hi nahin sakta

koi us ke junun ka zamzama ga hi nahin sakta

jhalakti hain mere ashaar mein jaulaniyan us ki

(1309) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Se Mohabbat Hai In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Kis Se Mohabbat Hai is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Kis Se Mohabbat Hai for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Kis Se Mohabbat Hai in PDF.