Majburiyan

main aahen bhar nahin sakta ki naghme ga nahin sakta

sakun lekin mere dil ko mayassar aa nahin sakta

koi naghme to kya ab mujh se mera saz bhi le le

jo gana chahta hun aah wo main ga nahin sakta

mata-e-soz-o-saz-e-zindagi paimana o barbat

main KHud ko in khilaunon se bhi ab bahla nahin sakta

wo baadal sar pe chhae hain ki sar se haT nahin sakte

mila hai dard wo dil ko ki dil se ja nahin sakta

hawas-kari hai jurm-e-KHud-kushi meri shariat mein

ye hadd-e-aKHiri hai main yahan tak ja nahin sakta

na tufan rok sakte hain na aandhi rok sakti hai

magar phir bhi main us qasr-e-hasin tak ja nahin sakta

wo mujh ko chahti hai aur mujh tak aa nahin sakti

main us ko pujta hun aur us ko pa nahin sakta

ye majburi si majburi ye lachaari si lachaari

ki us ke git bhi dil khol kar main ga nahin sakta

zaban par be-KHudi mein nam us ka aa hi jata hai

agar puchhe koi ye kaun hai batla nahin sakta

kahan tak qissa-e-alam-e-furqat muKHtasar ye hai

yahan wo aa nahin sakti wahan main ja nahin sakta

haden wo khinch rakkhi hain haram ke pasbanon ne

ki bin mujrim bane paigham bhi pahuncha nahin sakta

(1074) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Majburiyan In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Majburiyan is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Majburiyan for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Majburiyan in PDF.