Nau-jawan KHatun Se

hijab-e-fitna-parwar ab uTha leti to achchha tha

KHud apne husn ko parda bana leti to achchha tha

teri nichi nazar KHud teri ismat ki muhafiz hai

tu is nashtar ki tezi aazma leti to achchha tha

teri chin-e-jabin KHud ek saza qanun-e-fitrat mein

isi shamshir se kar-e-saza leti to achchha tha

ye tera zard ruKH ye KHushk lab ye wahm ye wahshat

tu apne sar se ye baadal haTa leti to achchha tha

dil-e-majruh ko majruh-tar karne se kya hasil

tu aansu ponchh kar ab muskura leti to achchha tha

tere zer-e-nagin ghar ho mahal ho qasr ho kuchh ho

main ye kahta hun tu arz-o-sama leti to achchha tha

agar KHalwat mein tu ne sar uThaya bhi to kya hasil

bhari mahfil mein aakar sar jhuka leti to achchha tha

tere mathe ka Tika mard ki qismat ka tara hai

agar tu saz-e-bedari uTha leti to achchha tha

ayan hain dushmanon ke KHanjaron par KHun ke dhabbe

unhen tu rang-e-ariz se mila leti to achchha tha

sananen khinch li hain sar-phire baghi jawanon ne

tu saman-e-jarahat ab uTha leti to achchha tha

tere mathe pe ye aanchal bahut hi KHub hai lekin

tu is aanchal se ek parcham bana leti to achchha tha

(1614) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nau-jawan KHatun Se In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Nau-jawan KHatun Se is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Nau-jawan KHatun Se for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Nau-jawan KHatun Se in PDF.