Parda Aur Ismat

jo zahir na ho wo latafat nahin hai

jo pinhan rahe wo sadaqat nahin hai

ye fitrat nahin hai mashiyyat nahin hai

koi aur shai hai ye ismat nahin hai

saba aur gulistan se daman kashida

nawa-e-fusun-KHez aur na-shunida

tajalli-e-ruKHsar aur na-damida

koi aur shai hai ye ismat nahin hai

sar-e-rahguzar chhup-chhupa kar guzarna

KHud apne hi jazbaat ka KHun karna

hijabon mein jina hijabon mein marna

koi aur shai hai ye ismat nahin hai

KHayalat-e-paiham mein har waqt gum-sum

dil-e-narm-o-nazuk pe abr-e-tawahhum

bujha sa tabassum ghuTa sa takallum

koi aur shai hai ye ismat nahin hai

wo ek kahish-e-talKH har aan dil mein

wo sham-o-sahar ek KHaljaan dil mein

umanDta hua ek tufan dil mein

koi aur shai hai ye ismat nahin hai

nigahon ki dawat ko pamal karna

mazaq-e-latafat ko pamal karna

taqaza-e-fitrat ko pamal karna

koi aur shai hai ye ismat nahin hai

qasam anjum-e-shab ke zauq-e-safar ki

qasam tazgi-e-nasim-e-sahar ki

qasam aasmanon ke shams-o-qamar ki

koi aur shai hai ye ismat nahin hai

qasam shoKHi-e-ishq sanjogta ki

qasam june ke azm-e-sabr-azma ki

qasam tahira ki qasam KHalida ki

koi aur shai hai ye ismat nahin hai

(843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parda Aur Ismat In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Parda Aur Ismat is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Parda Aur Ismat for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Parda Aur Ismat in PDF.