Taaruf

KHub pahchan lo asrar hun main

jins-e-ulfat ka talabgar hun main

ishq hi ishq hai duniya meri

fitna-e-aql se be-zar hun main

KHwab-e-ishrat mein hain arbab-e-KHirad

aur ek shair-e-bedar hun main

chheDti hai jise mizrab-e-alam

saz-e-fitrat ka wahi tar hun main

rang nazzara-e-qudrat mujh se

jaan-e-rangini-e-kohsar hun main

nashsha-e-nargis-e-KHuban mujh se

ghaza-e-ariz-o-ruKHsar hun main

aib-ju hafiz o KHayyam main tha

han kuchh is ka bhi gunahgar hun main

zindagi kya hai gunah-e-adam

zindagi hai to gunahgar hun main

rashk-e-sad-hosh hai masti meri

aisi masti hai ki hushyar hun main

le ke nikla hun guhar-ha-e-suKHan

mah o anjum ka KHaridar hun main

dair o kaba mein mere hi charche

aur ruswa sar-e-bazar hun main

kufr o ilhad se nafrat hai mujhe

aur mazhab se bhi be-zar hun main

ahl-e-duniya ke liye nang sahi

raunaq-e-anjuman-e-yar hun main

ain is be-sar-o-samani mein

kya ye kam hai ki guhar-bar hun main

meri baaton mein masihai hai

log kahte hain ki bimar hun main

mujh se barham hai mizaj-e-piri

mujrim-e-shoKHi-e-guftar hun main

hur o ghilman ka yahan zikr nahin

nau-e-insan ka parastar hun main

mahfil-e-dahr pe tari hai jumud

aur warafta-e-raftar hun main

ek lapakta hua shola hun main

ek chalti hui talwar hun main

(1243) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taaruf In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Taaruf is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Taaruf for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Taaruf in PDF.