Tifli Ke KHwab

tifli mein aarzu thi kisi dil mein hum bhi hon

ek roz soz-o-saz ki mahfil mein hum bhi hon

dil ho asir gesu-e-ambar-sarisht mein

uljhe inhin hasin salasil mein hum bhi hon

chheDa hai saz hazrat-e-'sadi' ne jis jagah

us bostan ke shoKH anadil mein hum bhi hon

gaen tarane dosh-e-surayya pe rakh ke sar

taron se chheD ho mah-e-kaamil mein hum bhi hon

aazad ho ke kashmakash-e-ilm se kabhi

aashuftagan-e-ishq ki manzil mein hum bhi hon

diwana-war hum bhi phiren koh-o-dasht mein

dil-dadgan-e-shola-e-mahmil mein hum bhi hon

dil ko ho shahzadi-e-maqsad ki dhun lagi

hairan suragh-e-jada-e-manzil mein hum bhi hon

sahra ho, KHar-zar ho, wadi ho, aag ho

ek din inhin muhib manazil mein hum bhi hun

dariya-e-hashr-KHez ki maujon ko chir kar

kashti samet daman-e-sahil mein hum bhi hon

ek lashkar-e-azim ho masruf kar-zar

lashkar ke pesh pesh muqabil mein hum bhi hon

chamke hamare hath mein bhi tegh-e-abdar

hangam-e-jang nargha-e-baatil mein hum bhi hon

qadmon pe jin ke taj hain iqlim-e-dahr ke

un chand kushtagan-e-gham-e-dil mein hum bhi hon

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tifli Ke KHwab In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Tifli Ke KHwab is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Tifli Ke KHwab for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Tifli Ke KHwab in PDF.