Un Ka Jashn-e-sal-girah

ek majma-e-rangin mein wo ghabrai hui si

baiThi hai ajab naz se sharmai hui si

aankhon mein haya lab pe hansi aai hui si

honTon pe fida ruh-e-bahaar-o-gul-o-nasrin

aankhon ki chamak ru-kash-e-bazm-e-mah-o-parwin

pairahan-e-zar-tar mein ek paikar-e-simin

lahren si wo leta hua ek phul ka sehra

sehre mein jhamakta hua ek chand sa chehra

ek rang sa ruKH par kabhi halka kabhi gahra

har sans mein ehsas-e-farawan ki kahani

KHamoshi-e-mahbub mein ek sail-e-maani

jazbaat ke tufan mein hai doshiza jawani

fitrat nae jazbaat ke dar khol rahi hai

mizan-e-jawani mein use taul rahi hai

lab sakit o samit hain nazar bol rahi hai

sarshaar nigahon mein haya jhum rahi hai

hain raqs mein aflak zamin ghum rahi hai

shair ki wafa baDh ke qadam chum rahi hai

ai tu ki tere dam se meri zamzama-KHwani

ho tujh ko mubarak ye teri nur-jahani

afkar se mahfuz rahe teri jawani

chhalke teri aankhon se sharab aur ziyaada

mahken tere aariz ke gulab aur ziyaada

allah kare zor-e-shabab aur ziyaada

(944) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Ka Jashn-e-sal-girah In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Un Ka Jashn-e-sal-girah is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Un Ka Jashn-e-sal-girah for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Un Ka Jashn-e-sal-girah in PDF.