Aasman Tak Jo Nala Pahuncha Hai

aasman tak jo nala pahuncha hai

dil ki gahraiyon se nikla hai

meri nazron mein hashr bhi kya hai

main ne un ka jalal dekha hai

jalwa-e-tur KHwab-e-musa hai

kis ne dekha hai kis ko dekha hai

hae anjam is safine ka

naKHuda ne jise Duboya hai

aah kya dil mein ab lahu bhi nahin

aaj ashkon ka rang phika hai

jab bhi aankhen milin un aankhon se

dil ne dil ka mizaj puchha hai

wo jawani ki thi harif-e-tarab

aaj barbaad-e-jam-o-sahba hai

kaun uTh kar chala muqabil se

jis taraf dekhiye andhera hai

phir meri aankh ho gai namnak

phir kisi ne mizaj puchha hai

sach to ye hai 'majaz' ki duniya

husn aur ishq ke siwa kya hai

(802) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasman Tak Jo Nala Pahuncha Hai In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Aasman Tak Jo Nala Pahuncha Hai is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Aasman Tak Jo Nala Pahuncha Hai for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Aasman Tak Jo Nala Pahuncha Hai in PDF.