Jigar Aur Dil Ko Bachana Bhi Hai

jigar aur dil ko bachana bhi hai

nazar aap hi se milana bhi hai

mohabbat ka har bhed pana bhi hai

magar apna daman bachana bhi hai

jo dil tere gham ka nishana bhi hai

qatil-e-jafa-e-zamana bhi hai

ye bijli chamakti hai kyun dam-ba-dam

chaman mein koi aashiyana bhi hai

KHirad ki itaat zaruri sahi

yahi to junun ka zamana bhi hai

na duniya na uqba kahan jaiye

kahin ahl-e-dil ka Thikana bhi hai

mujhe aaj sahil pe rone bhi do

ki tufan mein muskurana bhi hai

zamane se aage to baDhiye 'majaz'

zamane ko aage baDhana bhi hai

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jigar Aur Dil Ko Bachana Bhi Hai In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Jigar Aur Dil Ko Bachana Bhi Hai is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Jigar Aur Dil Ko Bachana Bhi Hai for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Jigar Aur Dil Ko Bachana Bhi Hai in PDF.