KHud Dil Mein Rah Ke Aankh Se Parda Kare Koi

KHud dil mein rah ke aankh se parda kare koi

han lutf jab hai pa ke bhi DhunDa kare koi

tum ne to hukm-e-tark-e-tamanna suna diya

kis dil se aah tark-e-tamanna kare koi

duniya laraz gai dil-e-hirman-nasib ki

is tarah saz-e-aish na chheDa kare koi

mujh ko ye aarzu wo uThaen naqab KHud

un ko ye intizar taqaza kare koi

rangini-e-naqab mein gum ho gai nazar

kya be-hijabiyon ka taqaza kare koi

ya to kisi ko jurat-e-didar hi na ho

ya phir meri nigah se dekha kare koi

hoti hai is mein husn ki tauhin ai 'majaz'

itna na ahl-e-ishq ko ruswa kare koi

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Dil Mein Rah Ke Aankh Se Parda Kare Koi In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. KHud Dil Mein Rah Ke Aankh Se Parda Kare Koi is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem KHud Dil Mein Rah Ke Aankh Se Parda Kare Koi for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download KHud Dil Mein Rah Ke Aankh Se Parda Kare Koi in PDF.