Meri Wafa Ka Tera Lutf Bhi Jawab Nahin

meri wafa ka tera lutf bhi jawab nahin

mere shabab ki qimat tera shabab nahin

ye mahtab nahin hai ki aaftab nahin

sabhi hai husn magar ishq ka jawab nahin

meri nigah mein jalwe hain jalwe hi jalwe

yahan hijab nahin hai yahan naqab nahin

junun bhi had se siwa shauq bhi hai had se siwa

ye baat kya hai ki main maurid-e-itab nahin

yahan to husn ka dil bhi hai gham se sad para

main kaamyab nahin wo bhi kaamyab nahin

yahan to raat ki bedariyan musallam hain

magar wahan bhi hasin ankhDiyon mein KHwab nahin

na puchhiye meri duniya ko meri duniya mein

KHud aaftab bhi zarra hai aaftab nahin

sab hi hain mai-kada-e-dahr mein KHirad wale

koi KHarab nahin hai koi KHarab nahin

'majaz' kis ko main samjhaun koi kya samjhe

ki kaamyab-e-mohabbat bhi kaamyab nahin

(804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Wafa Ka Tera Lutf Bhi Jawab Nahin In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Meri Wafa Ka Tera Lutf Bhi Jawab Nahin is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Meri Wafa Ka Tera Lutf Bhi Jawab Nahin for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Meri Wafa Ka Tera Lutf Bhi Jawab Nahin in PDF.