Raushni Ke Silsile KHwabon Mein Dhal Kar Rah Gae

raushni ke silsile KHwabon mein Dhal kar rah gae

jitne manzar the sarabon mein badal kar rah gae

shoabde hi shoabde phir taliyan hi taliyan

hum hi nadan the khilaunon se bahal kar rah gae

dekhte hi dekhte bazar KHali ho gaya

log apni hi sadaon se dahal kar rah gae

wo tamazat thi ki jangal bhi dhuan dene lage

lahlahate khet kya sae bhi jal kar rah gae

lafz gunge to na the par baat adhuri rah gai

tazkire kitne zabanon par machal kar rah gae

(1294) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raushni Ke Silsile KHwabon Mein Dhal Kar Rah Gae In English By Famous Poet Asrar Zaidi. Raushni Ke Silsile KHwabon Mein Dhal Kar Rah Gae is written by Asrar Zaidi. Read famous Poem Raushni Ke Silsile KHwabon Mein Dhal Kar Rah Gae for youth and Student by Asrar Zaidi. Free Download Raushni Ke Silsile KHwabon Mein Dhal Kar Rah Gae in PDF.