Rabta TuT Na Jae Kahin KHud-bini Se

rabta TuT na jae kahin KHud-bini se

dil laraz uTTha hai mahaul ki sangini se

hausla hai to sarabon mein utar kar dekho

zinda rahna to ibarat hai KHush-aini se

ab sar-e-aKHir-e-shab lae ho suraj ki KHabar

yun tamasha na karo subh ki rangini se

na burudat thi na hiddat thi ajab mausam tha

choT khaya kiye hum apni hi kaj-bini se

aankh pathrai hui aur zaban gung ki jab

zarf miTTi ke bane aur badan chini se

dard talKHaba-e-ehsas mein zam ho ke raha

qatl-gah paT gai alfaz ki shirini se

samne aa ke jo wo hath milae to sahi

mujh ko haul aata hai us shaKHs ki miskini se

(1425) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rabta TuT Na Jae Kahin KHud-bini Se In English By Famous Poet Asrar Zaidi. Rabta TuT Na Jae Kahin KHud-bini Se is written by Asrar Zaidi. Read famous Poem Rabta TuT Na Jae Kahin KHud-bini Se for youth and Student by Asrar Zaidi. Free Download Rabta TuT Na Jae Kahin KHud-bini Se in PDF.