Anjaane Logon Ko Har Su Chalta Phirta Dekh Raha Hun

anjaane logon ko har su chalta phirta dekh raha hun

kaisi bhiD hai phir bhi KHud ko tanha tanha dekh raha hun

diwaron se rauzan rauzan kya kya manzar ubhre hain

suraj ko bhi dur ufuq par jalta bujhta dekh raha hun

jis ko apna rup diya aur jis ke har dam KHwab bune

kab se main us aane wale kal ka rasta dekh raha hun

subhon ki peshani par ye kaisi siyahi phaili hai

apni ana ko har lamhe suli par chaDhta dekh raha hun

aaine mein kya dekhun jab har chehra aaina hai

us ka chehra dekh raha hun apna chehra dekh raha hun

(969) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Anjaane Logon Ko Har Su Chalta Phirta Dekh Raha Hun In English By Famous Poet Asrar Zaidi. Anjaane Logon Ko Har Su Chalta Phirta Dekh Raha Hun is written by Asrar Zaidi. Read famous Poem Anjaane Logon Ko Har Su Chalta Phirta Dekh Raha Hun for youth and Student by Asrar Zaidi. Free Download Anjaane Logon Ko Har Su Chalta Phirta Dekh Raha Hun in PDF.