Kaise Rafu Hon Chaak-e-gareban Main Bhi Sochun Tu Bhi Soch

kaise rafu hon chaak-e-gareban main bhi sochun tu bhi soch

apne apne dard ka darman main bhi sochun tu bhi soch

jis ke liye ek umr se lambi kaTi hum ne kali raat

subh wo kyun hai sham-ba-daman main bhi sochun tu bhi soch

mere lahu se naqsh hui hai meri hi taswir magar

kis ka hai ye shauq-e-nigaran main bhi sochun tu bhi soch

roz-afzun hai meri tamanna aur tera begana-pan

is be-rabt si nazm ka unwan main bhi sochun tu bhi soch

zaKHmon ke KHun-rang ujale mujh ko hi marghub sahi

kaun hai in zaKHmon mein farozan main bhi sochun tu bhi soch

ghar ki munDeron tak barpa hai diwali ka sara jashn

kaise ho andar bhi charaghan main bhi sochun tu bhi soch

dil ne bhi thak-haar ke aaKHir dar-darwaze band kiye

kaun ho ab is gham ka nigahban main bhi sochun tu bhi soch

un ke aage phaila hua tha dast-e-tamanna ai 'asrar'

ya ki tah-e-KHanjar thi rag-e-jaan main bhi sochun tu bhi soch

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaise Rafu Hon Chaak-e-gareban Main Bhi Sochun Tu Bhi Soch In English By Famous Poet Asrarul Haq Asrar. Kaise Rafu Hon Chaak-e-gareban Main Bhi Sochun Tu Bhi Soch is written by Asrarul Haq Asrar. Read famous Poem Kaise Rafu Hon Chaak-e-gareban Main Bhi Sochun Tu Bhi Soch for youth and Student by Asrarul Haq Asrar. Free Download Kaise Rafu Hon Chaak-e-gareban Main Bhi Sochun Tu Bhi Soch in PDF.