Thahre To Kahan Thahre AaKHir Meri Binai

Thahre to kahan Thahre aaKHir meri binai

har shaKHs tamasha hai har shaKHs tamashai

ye husn ka dhoka bhi dil ke liye kafi tha

chhune ke liye kab thi mahtab ki unchai

aaine ki hajat se inkar nahin lekin

is darja na tha pahle dastur-e-KHud-arai

sarmaya-e-dil aaKHir aur is ke siwa kya hai

har dard se rishta hai har gham se shanasai

patthar sa haTe dil se kuchh mujh ko bhi kahne do

go talKH to guzregi tum ko meri sachchai

shikwa na karen hum bhi bharpur tawajjoh ka

dekha na karo tum bhi har zaKHm ki gahrai

duniya se nirala hai 'asrar' chalan apna

tanhai mein mahfil hai mahfil mein hai tanhai

(591) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thahre To Kahan Thahre AaKHir Meri Binai In English By Famous Poet Asrarul Haq Asrar. Thahre To Kahan Thahre AaKHir Meri Binai is written by Asrarul Haq Asrar. Read famous Poem Thahre To Kahan Thahre AaKHir Meri Binai for youth and Student by Asrarul Haq Asrar. Free Download Thahre To Kahan Thahre AaKHir Meri Binai in PDF.