KHud-satai Se Na Hum Baz Ana Se Aae

KHud-satai se na hum baz ana se aae

go tere shahr mein ja kar ke bhi pyase aae

is jawani mein bhi ilzam se Darna hairat

kaun chehre pe nahin kil muhase aae

us ne ek KHas tanasub se mohabbat banTi

mere hisse mein hamesha hi dilase aae

baat ausaf ki hai nam ki nahin hai bhai

log be-ant samundar se bhi pyase aae

DhunDhta hai koi mujh jaisa mujhe gird-o-nawah

ek sada mere taaqub mein sada se aae

main ba-sad-shauq giraftar-e-rah-e-ishq hua

warna kuchh log yahan apni KHata se aae

sirf taqlid se hi qais nahin ban sakte

yani is ishq ka karna bhi ata se aae

(4041) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud-satai Se Na Hum Baz Ana Se Aae In English By Famous Poet Azad Husain Azad. KHud-satai Se Na Hum Baz Ana Se Aae is written by Azad Husain Azad. Read famous Poem KHud-satai Se Na Hum Baz Ana Se Aae for youth and Student by Azad Husain Azad. Free Download KHud-satai Se Na Hum Baz Ana Se Aae in PDF.