Rang Ke Gahre The Lekin Dur Se Achchhe Lage

rang ke gahre the lekin dur se achchhe lage

adh-khili un khiDkiyon par jamuni parde lage

KHushk hoti bel se diwar chhuTi dafatan

zard patton ko bachate phul KHud girne lage

pakke rishton mein daraDon ki kahani khul gai

Dubne wale ko sare hi ghaDe kachche lage

ek taKHayyul jism oDhe aan baiTha samne

lafz bhi ab soch ko taswir sa karne lage

bail ne bas sing badle aur duniya hil gai

chand lamhe shahr ka jughrafiya likhne lage

be-zarurat ghonsle par ek chiDiya muztarib

do parinde aaj pahli bar hain uDne lage

(1987) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rang Ke Gahre The Lekin Dur Se Achchhe Lage In English By Famous Poet Azad Husain Azad. Rang Ke Gahre The Lekin Dur Se Achchhe Lage is written by Azad Husain Azad. Read famous Poem Rang Ke Gahre The Lekin Dur Se Achchhe Lage for youth and Student by Azad Husain Azad. Free Download Rang Ke Gahre The Lekin Dur Se Achchhe Lage in PDF.