Alawa Ek Chubhan Ke Kya Hai KHud Se Rabta Mera

alawa ek chubhan ke kya hai KHud se rabta mera

bikhar jata hai mujh mein TuT ke har aaina mera

ulajh ke mujh mein apne-ap ko suljha raha hai jo

na jaane KHatm kar baiThe kahan par silsila mera

mujhe chakhte hi kho baiTha wo jannat apne KHwabon ki

bahut milta hua tha zindagi se zaiqa mera

main kal aur aaj mein hael koi nadida waqfa hun

mere KHwabon se napa ja raha hai fasla mera

wo kaisa shahr tha manus bhi tha ajnabi bhi tha

ki jis ki ek gali mein kho gaya mujh se pata mera

palaT aata hai har din ghar ki jaanib sham Dhalte hi

kisi be-nam basti se guzar ke rasta mera

ye main hun ya mera saya mera saya hai ya main hun

ajab si dhund mein lipTa hua hai hafiza mera

hansi aai thi apni bebasi par ek din mujh ko

abhi tak gunjta hai mere andar qahqaha mera

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Alawa Ek Chubhan Ke Kya Hai KHud Se Rabta Mera In English By Famous Poet Aziz Bano Darab Wafa. Alawa Ek Chubhan Ke Kya Hai KHud Se Rabta Mera is written by Aziz Bano Darab Wafa. Read famous Poem Alawa Ek Chubhan Ke Kya Hai KHud Se Rabta Mera for youth and Student by Aziz Bano Darab Wafa. Free Download Alawa Ek Chubhan Ke Kya Hai KHud Se Rabta Mera in PDF.