Na Yaad Aaya Na Bhula Na Saneha Mujhko

na yaad aaya na bhula na saneha mujh ko

bana gaya jo ek aisa mujassama mujh ko

ki raste mein khaDa but samajh ke chhoD gaya

tamam umr ki yaadon ka qafila mujh ko

main so rahi thi usi dastan mein sadiyon se

sula gaya tha jahan mera hafiza mujh ko

kisi qadim kahani ka ek charagh hun main

bujha ke chhoD gai taq par hawa mujh ko

phir uTh ke nind mein jati thi us taraf har shab

pukarta tha jidhar se mera pata mujh ko

magar ye hosh na tha le ke ja raha hai kahan

bikharti TuTti yaadon ka silsila mujh ko

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Yaad Aaya Na Bhula Na Saneha Mujhko In English By Famous Poet Aziz Bano Darab Wafa. Na Yaad Aaya Na Bhula Na Saneha Mujhko is written by Aziz Bano Darab Wafa. Read famous Poem Na Yaad Aaya Na Bhula Na Saneha Mujhko for youth and Student by Aziz Bano Darab Wafa. Free Download Na Yaad Aaya Na Bhula Na Saneha Mujhko in PDF.