Sambhal Na Pae To Taqsir-e-waqai Bhi Nahin

sambhal na pae to taqsir-e-waqai bhi nahin

har ek pe sahal kuchh aadab-e-mai-kashi bhi nahin

idhar udhar se hadis-e-gham-e-jahan kah kar

teri hi baat ki aur teri baat ki bhi nahin

wafa-e-wada pe dil nukta-chin hai wo KHamosh

hadis-e-mehr-o-wafa aaj guftani bhi nahin

bikhar ke husn-e-jahan ka nizam kya hoga

ye barhami teri zulfon ki barhami bhi nahin

shikast-e-saghar-o-mina ko KHak rota main

giran abhi mere dil ki shikastagi bhi nahin

hazar shukr ki be-KHwab hai sahar ke liye

wo chashm-e-naz ki jo jagton mein thi bhi nahin

ye zindagi hi talawwun-mizaj hai ai dost

tamam tark-e-wafa teri be-ruKHi bhi nahin

talluqat-e-zamana ki ek kaDi ke siwa

kuchh aur ye tera paiman-e-dosti bhi nahin

karam ki wajah na thi be-sabab KHafa bhi hai wo

mizaj-e-husn se ye baat dur thi bhi nahin

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sambhal Na Pae To Taqsir-e-waqai Bhi Nahin In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Sambhal Na Pae To Taqsir-e-waqai Bhi Nahin is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Sambhal Na Pae To Taqsir-e-waqai Bhi Nahin for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Sambhal Na Pae To Taqsir-e-waqai Bhi Nahin in PDF.