Taza Hawa Bahaar Ki Dil Ka Malal Le Gai

taza hawa bahaar ki dil ka malal le gai

pa-e-junun se halqa-e-gardish-e-haal le gai

jurat-e-shauq ke siwa KHalwatiyan-e-KHas ko

ek tere gham ki aagahi ta-ba-sawal le gai

shola-e-dil bujha bujha KHak-e-zaban uDi uDi

dasht-e-hazar-dam se mauj-e-KHayal le gai

raat ki raat bu-e-gul kuza-e-gul mein bas gai

rang-e-hazar mai-kada ruh-e-sifal le gai

tez hawa ki chap se tira-banon mein lau uThi

ruh-e-taghayyur-e-jahan aag se fal le gai

nafa-e-ahu-e-tatar zaKHm-e-numud ka shikar

dasht se zindagi ki rau ek misal le gai

hijr o visal o nek o bad gardish-e-sad-hazar-o-sad

tujh ko kahan kahan mere sarw-e-kamal le gai

narm hawa pe yun khule kuchh tere pairahan ke raaz

sab tere jism-e-naz ke raaz-e-visal le gai

matam-e-marg-e-qais ki kis se banegi dastan

nauha-e-be-zaban koi chashm-e-ghazal le gai

(1203) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taza Hawa Bahaar Ki Dil Ka Malal Le Gai In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Taza Hawa Bahaar Ki Dil Ka Malal Le Gai is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Taza Hawa Bahaar Ki Dil Ka Malal Le Gai for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Taza Hawa Bahaar Ki Dil Ka Malal Le Gai in PDF.