Jam Khaali Jahan Nazar Aaya
jam KHali jahan nazar aaya
meri aankhon mein KHun utar aaya
wo bahut kam kisi ne dekha hai
mujh ko jo kuchh yahan nazar aaya
jhuk gae aasman sajde mein
kaun ye apne baam par aaya
kanp uTha charKH hil gai duniya
wo jahan apni baat par aaya
us ne puchha mizaj kaisa hai
dil jo umDa hua tha bhar aaya
jab kabhi us ne ki nazar mujh par
ek chhaala naya ubhar aaya
teri jaanib se hoshiyar gaya
apni jaanib se be-KHabar aaya
jab kiya qasd-e-zabt-e-ah 'aziz'
dil mein chhaala sa ek ubhar aaya
(693) Peoples Rate This