KHalwat Hui Hai Anjuman-ara Kabhi Kabhi

KHalwat hui hai anjuman-ara kabhi kabhi

KHamoshiyon ne hum ko pukara kabhi kabhi

le de ke ek saya-e-diwar-e-arzu

deta hai rahrawon ko sahaara kabhi kabhi

kis darja dil-fareb hain jhonke umid ke

ye zindagi hui hai gawara kabhi kabhi

saunpa hai hum ne jis ko har ek lamha-e-hayat

ai kash ho sake wo hamara kabhi kabhi

ai mauj-e-KHush-KHiram zara tez tez chal

banti hai sath-e-ab kinara kabhi kabhi

dast-e-tahi baDhaiye kis ishtiyaq se

TuTa hai shaKH-e-shab se jo tara kabhi kabhi

hadd-e-nazar ke par 'tamannai' kaun hai

mahsus ho raha hai ishaara kabhi kabhi

(785) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHalwat Hui Hai Anjuman-ara Kabhi Kabhi In English By Famous Poet Aziz Tamannai. KHalwat Hui Hai Anjuman-ara Kabhi Kabhi is written by Aziz Tamannai. Read famous Poem KHalwat Hui Hai Anjuman-ara Kabhi Kabhi for youth and Student by Aziz Tamannai. Free Download KHalwat Hui Hai Anjuman-ara Kabhi Kabhi in PDF.