Ajib Kaifiyat AaKHir Talak Rahi Dil Ki

ajib kaifiyat aaKHir talak rahi dil ki

faraaz-e-dar mein bhi justuju thi manzil ki

wo husn jis se mila hai mujhe shuur-e-wafa

KHuda nahin tha to kyun wahi-e-ishq nazil ki

tarashe kitne hi but aazari ke fan ne magar

mili na ek bhi surat tere muqabil ki

ab aankhen band hain taki koi samajh na sake

meri nigah mein taswir hogi qatil ki

dimagh dida o dil sab ne rokna chaha

magar junun ne meri har dalil baatil ki

isi ko kahte hain sahil pe rah ke tishna-labi

talash hai teri mahfil mein jaan-e-mahfil ki

ye baat sach hai ki marna sabhi ko hai lekin

alag hi hoti hai lazzat nigah-e-qatil ki

tha rahbaron pe bharosa to ab bhaTakta hun

mujhe KHabar hi nahin thi fareb-e-manzil ki

miyan 'shahid' ye mana ki tum bhi shaer ho

magar batao ki haq aagahi bhi hasil ki

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Kaifiyat AaKHir Talak Rahi Dil Ki In English By Famous Poet Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri. Ajib Kaifiyat AaKHir Talak Rahi Dil Ki is written by Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri. Read famous Poem Ajib Kaifiyat AaKHir Talak Rahi Dil Ki for youth and Student by Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri. Free Download Ajib Kaifiyat AaKHir Talak Rahi Dil Ki in PDF.