Lamhon Ne Yun SameT Liya Fasla Bahut

lamhon ne yun sameT liya fasla bahut

main ne paDha to kuchh na tha lekin paDha bahut

kitne junun-nawaz bichhaD ke chale gae

josh-e-junun ke sath na tha walwala bahut

Duba safina jis mein musafir koi na tha

lekin bhare hue the wahan na-KHuda bahut

sau daeron mein baT ke numayan na ho sake

socho agar to hoga bas ek daera bahut

shayad yahi kitab-e-mohabbat ho la-jawab

meri wafa ke sath hai teri jafa bahut

zaKHmon ke sath sath namak-pashiyan bhi thin

dekha hai mere ishq ne ye silsila bahut

aankhon mein dam Tika hai wo aa jaen is ghaDi

dast-e-talab hai mere liye ye dua bahut

tujh ko 'shahid' sada-dili ki nazar lagi

imkan warna tere liye bhi raha bahut

(936) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lamhon Ne Yun SameT Liya Fasla Bahut In English By Famous Poet Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri. Lamhon Ne Yun SameT Liya Fasla Bahut is written by Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri. Read famous Poem Lamhon Ne Yun SameT Liya Fasla Bahut for youth and Student by Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri. Free Download Lamhon Ne Yun SameT Liya Fasla Bahut in PDF.