Teri Yaaden Hain Jinhen Dil Mein Basa Rakkha Hai

teri yaaden hain jinhen dil mein basa rakkha hai

hum ne is aag ko sine mein daba rakkha hai

shahr ho dasht-e-tamanna ho ki dariya ka safar

teri taswir ko sine se laga rakkha hai

ye to mumkin hi nahin husn ka faizan na ho

ishq ne husn ko arman bana rakkha hai

kaisa suraj hai ki deta nahin zulmat ko shikast

kyun andheron ne ujalon ko daba rakkha hai

tishnagi apni miTa le ki hansnegi duniya

pi to le saghar-e-taslim-o-raza rakkha hai

haq ke lashkar mein sipahi hain bahut thoDe se

hum ne hi hausla baatil ka baDha rakkha hai

kab nikalna hai use ye bhi bata sakti hai

zulmat-e-shab ne bhi suraj ka pata rakkha hai

KHugar-e-zabt hain ruswa na karenge tujh ko

hum ne duniya se tere gham ko chhupa rakkha hai

dil jo TuTe hain unhen joD ke dikhlao 'shahid'

warna in kashf-o-karamat mein kya rakkha hai

(1210) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Yaaden Hain Jinhen Dil Mein Basa Rakkha Hai In English By Famous Poet Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri. Teri Yaaden Hain Jinhen Dil Mein Basa Rakkha Hai is written by Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri. Read famous Poem Teri Yaaden Hain Jinhen Dil Mein Basa Rakkha Hai for youth and Student by Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri. Free Download Teri Yaaden Hain Jinhen Dil Mein Basa Rakkha Hai in PDF.