Dekh Dil Ko Mere O Kafir-e-be-pir Na ToD

dekh dil ko mere o kafir-e-be-pir na toD

ghar hai allah ka ye is ki to tamir na toD

ghul sada wadi-e-wahshat mein rakhunga barpa

ai junun dekh mere panw ki zanjir na toD

dekh Tuk ghaur se aaina-e-dil ko mere

is mein aata hai nazar aalam-e-taswir na toD

taj-e-zar ke liye kyun shama ka sar kaTe hai

rishta-e-ulfat-e-parwana ko gul-gir na toD

apne bismil se ye kahta tha dam-e-naza wo shoKH

tha jo kuchh ahd so o aashiq-e-dil-gir na toD

raqs-e-bismil ka tamasha mujhe dikhla koi dam

dast o pa mar ke dam tu tah-e-shamshir na toD

saham kar ai 'zafar' us shoKH kaman-dar se kah

khinch kar dekh mere sine se tu tir na toD

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekh Dil Ko Mere O Kafir-e-be-pir Na ToD In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Dekh Dil Ko Mere O Kafir-e-be-pir Na ToD is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Dekh Dil Ko Mere O Kafir-e-be-pir Na ToD for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Dekh Dil Ko Mere O Kafir-e-be-pir Na ToD in PDF.