Dekho Insan KHak Ka Putla Bana Kya Chiz Hai

dekho insan KHak ka putla bana kya chiz hai

bolta hai is mein kya wo bolta kya chiz hai

ru-ba-ru us zulf ke dam-e-bala kya chiz hai

us nigah ke samne tir-e-qaza kya chiz hai

yun to hain sare butan ghaarat-gar-e-iman-o-din

ek wo kafir sanam nam-e-KHuda kya chiz hai

jis ne dil mera diya dam-e-mohabbat mein phansa

wo nahin malum muj ko naseha kya chiz hai

howe ek qatra jo zahrab-e-mohabbat ka nasib

KHizr phir to chashma-e-ab-e-baqa kya chiz hai

marg hi sehat hai us ki marg hi us ka ilaj

ishq ka bimar kya jaane dawa kya chiz hai

dil mera baiTha hai le kar phir mujhi se wo nigar

puchhta hai hath mein mere bata kya chiz hai

KHak se paida hue hain dekh ranga-rang gul

hai to ye nachiz lekin is mein kya kya chiz hai

jis ki tujh ko justuju hai wo tujhi mein hai 'zafar'

DhunDta phir phir ke to phir ja-ba-ja kya chiz hai

(1304) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekho Insan KHak Ka Putla Bana Kya Chiz Hai In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Dekho Insan KHak Ka Putla Bana Kya Chiz Hai is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Dekho Insan KHak Ka Putla Bana Kya Chiz Hai for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Dekho Insan KHak Ka Putla Bana Kya Chiz Hai in PDF.