Hum Ye To Nahin Kahte Ki Gham Kah Nahin Sakte

hum ye to nahin kahte ki gham kah nahin sakte

par jo sabab-e-ghum hai wo hum kah nahin sakte

hum dekhte hain tum mein KHuda jaane buto kya

is bhed ko allah ki qasam kah nahin sakte

ruswa-e-jahan karta hai ro ro ke hamein tu

hum tujhe kuchh ai dida-e-nam kah nahin sakte

kya puchhta hai hum se tu ai shoKH sitamgar

jo tu ne kiye hum pe sitam kah nahin sakte

hai sabr jinhen talKH-kalami ko tumhaari

sharbat hi batate hain sam kah nahin sakte

jab kahte hain kuchh baat rukawaT ki tere hum

ruk jata hai ye sine mein dam kah nahin sakte

allah re tera rob ki ahwal-e-dil apna

de dete hain hum kar ke raqam kah nahin sakte

tuba-e-bahishti hai tumhaara qad-e-rana

hum kyunkar kahen sarw-e-iram kah nahin sakte

jo hum pe shab-e-hijr mein us mah-liqa ke

guzre hain 'zafar' ranj o alam kah nahin sakte

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ye To Nahin Kahte Ki Gham Kah Nahin Sakte In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Hum Ye To Nahin Kahte Ki Gham Kah Nahin Sakte is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Hum Ye To Nahin Kahte Ki Gham Kah Nahin Sakte for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Hum Ye To Nahin Kahte Ki Gham Kah Nahin Sakte in PDF.