Itna Na Apne Jame Se Bahar Nikal Ke Chal

itna na apne jame se bahar nikal ke chal

duniya hai chal-chalaw ka rasta sambhal ke chal

kam-zarf pur-ghurur zara apna zarf dekh

manind josh-e-gham na ziyaada ubal ke chal

fursat hai ek sada ki yahan soz-e-dil ke sath

us par sapand-war na itna uchhal ke chal

ye ghol-wash hain in ko samajh tu na rahnuma

sae se bach ke ahl-e-fareb-o-daghal ke chal

auron ke bal pe bal na kar itna na chal nikal

bal hai to bal ke bal pe tu kuchh apne bal ke chal

insan ko kal ka putla banaya hai us ne aap

aur aap hi wo kahta hai putle ko kal ke chal

phir aankhen bhi to din hain ki rakh dekh kar qadam

kahta hai kaun tujh ko na chal chal sambhal ke chal

hai turfa amn-gah nihan-KHana-e-adam

aankhon ke ru-ba-ru se tu logon ke Tal ke chal

kya chal sakega hum se ki pahchante hain hum

tu lakh apni chaal ko zalim badal ke chal

hai shama sar ke bal jo mohabbat mein garm ho

parwana apne dil se ye kahta hai jal ke chal

bulbul ke hosh nikhat-e-gul ki tarah uDa

gulshan mein mere sath zara itr mal ke chal

gar qasd su-e-dil hai tera ai nigah-e-yar

do-chaar tir paik se aage ajal ke chal

jo imtihan-e-taba kare apna ai 'zafar'

to kah do us ko taur pe tu is ghazal ke chal

(1221) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itna Na Apne Jame Se Bahar Nikal Ke Chal In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Itna Na Apne Jame Se Bahar Nikal Ke Chal is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Itna Na Apne Jame Se Bahar Nikal Ke Chal for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Itna Na Apne Jame Se Bahar Nikal Ke Chal in PDF.