Kyunki Hum Duniya Mein Aae Kuchh Sabab Khulta Nahin
kyunki hum duniya mein aae kuchh sabab khulta nahin
ek sabab kya bhed wan ka sab ka sab khulta nahin
puchhta hai haal bhi gar wo to mare sharm ke
ghuncha-e-taswir ke manind lab khulta nahin
shahid-e-maqsud tak pahunchenge kyunkar dekhiye
band hai bab-e-tamanna hai ghazab khulta nahin
band hai jis KHana-e-zindan mein diwana tera
us ka darwaza pari-ru roz o shab khulta nahin
dil hai ye ghuncha nahin hai is ka uqda ai saba
kholne ka jab talak aawe na Dhab khulta nahin
ishq ne jin ko kiya KHatir-girafta un ka dil
lakh howe garche saman-e-tarab khulta nahin
kis tarah malum howe us ke dil ka muddaa
mujh se baaton mein 'zafar' wo ghuncha-lab khulta nahin
(902) Peoples Rate This