Nahin Ishq Mein Is Ka To Ranj Hamein Ki Qarar O Shakeb Zara Na Raha

nahin ishq mein is ka to ranj hamein ki qarar o shakeb zara na raha

gham-e-ishq to apna rafiq raha koi aur bala se raha na raha

diya apni KHudi ko jo hum ne uTha wo jo parda sa bich mein tha na raha

rahe parde mein ab na wo parda-nashin koi dusra us ke siwa na raha

na thi haal ki jab hamein apne KHabar rahe dekhte auron ke aib o hunar

paDi apni buraiyon par jo nazar to nigah mein koi bura na raha

tere ruKH ke KHayal mein kaun se din uThe mujh pe na fitna-e-roz-e-jaza

teri zulf ke dhyan mein kaun si shab mere sar pe hujum-e-bala na raha

hamein saghar-e-baada ke dene mein ab kare der jo saqi to hae ghazab

ki ye ahd-e-nashat ye daur-e-tarab na rahega jahan mein sada na raha

kai roz mein aaj wo mehr-liqa hua mere jo samne jalwa-numa

mujhe sabr o qarar zara na raha use pas-e-hijab-o-haya na raha

tere KHanjar o tegh ki aab-e-rawan hui jab ki sabil-e-sitam-zadgan

gae kitne hi qafile KHushk-zaban koi tishna-e-ab-e-baqa na raha

mujhe saf batae nigar agar to ye puchhun main ro ro ke KHun-e-jigar

male panw se kis ke hain dida-e-tar kaf-e-pa pe jo rang-e-hina na raha

use chaha tha main ne ki rok rakhun meri jaan bhi jae to jaane na dun

kiye lakh fareb karoD fusun na raha na raha na raha na raha

lage yun to hazaron hi tir-e-sitam ki taDapte rahe paDe KHak pe hum

wale naz o karishma ki tegh-e-do-dam lagi aisi ki tasma laga na raha

'zafar' aadmi us ko na jaaniyega wo ho kaisa hi sahab-e-fahm-o-zaka

jise aish mein yaad-e-KHuda na rahi jise taish mein KHauf-e-KHuda na raha

(3199) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Ishq Mein Is Ka To Ranj Hamein Ki Qarar O Shakeb Zara Na Raha In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Nahin Ishq Mein Is Ka To Ranj Hamein Ki Qarar O Shakeb Zara Na Raha is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Nahin Ishq Mein Is Ka To Ranj Hamein Ki Qarar O Shakeb Zara Na Raha for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Nahin Ishq Mein Is Ka To Ranj Hamein Ki Qarar O Shakeb Zara Na Raha in PDF.