Nibah Baat Ka Us Hila-gar Se Kuchh Na Hua

nibah baat ka us hila-gar se kuchh na hua

idhar se kya na hua par udhar se kuchh na hua

jawab-e-saf to lata agar na lata KHat

likha nasib ka jo nama-bar se kuchh na hua

hamesha fitne hi barpa kiye mere sar par

hua ye aur to us fitnagar se kuchh na hua

bala se girya-e-shab tu hi kuchh asar karta

agarche ishq mein aah-e-sahar se kuchh na hua

jala jala ke kiya shama san tamam mujhe

bas aur to mujhe soz-e-jigar se kuchh na hua

rahin adu se wahi garm-joshiyan us ki

is aah-e-sard aur is chashm-e-tar se kuchh na hua

uThaya ishq mein kya kya na dard-e-sar main ne

husul par mujhe us dard-e-sar se kuchh na hua

shab-e-visal mein bhi meri jaan ko aaram

azizo dard-e-judai ke Dar se kuchh na hua

na dunga dil use main ye hamesha kahta tha

wo aaj le hi gaya aur 'zafar' se kuchh na hua

(864) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nibah Baat Ka Us Hila-gar Se Kuchh Na Hua In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Nibah Baat Ka Us Hila-gar Se Kuchh Na Hua is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Nibah Baat Ka Us Hila-gar Se Kuchh Na Hua for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Nibah Baat Ka Us Hila-gar Se Kuchh Na Hua in PDF.