Qarun UTha Ke Sar Pe Suna Ganj Le Chala

qarun uTha ke sar pe suna ganj le chala

duniya se kya baKHil ba-juz ranj le chala

minnat thi bosa-e-lab-e-shirin ki dil mera

mujh ko su-e-mazar-e-shakar ganj le chala

saqi sambhaalta hai to jaldi mujhe sambhaal

warna uDa ke pan nasha-e-banj le chala

dauDa ke hath chhati pe hum un ki yun phire

jaise koi chor aa ke ho naranj le chala

chausar ka lutf ye hai ki jis waqt po paDe

hum bar-chahaar bole to bar-panj le chala

jis dam 'zafar' ne paDh ke ghazal hath se rakhi

aankhon pe rakh har ek suKHan-sanj le chala

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qarun UTha Ke Sar Pe Suna Ganj Le Chala In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Qarun UTha Ke Sar Pe Suna Ganj Le Chala is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Qarun UTha Ke Sar Pe Suna Ganj Le Chala for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Qarun UTha Ke Sar Pe Suna Ganj Le Chala in PDF.