Tufta-jaanon Ka Ilaj Ai Ahl-e-danish Aur Hai

tufta-jaanon ka ilaj ai ahl-e-danish aur hai

ishq ki aatish bala hai us ki sozish aur hai

kyun na wahshat mein chubhe har mu ba-shakl-e-nish-tez

KHar-e-gham ki tere diwane ki kawish aur hai

mutribo ba-saz aao tum hamari bazm mein

saz-o-saman se tumhaari itni sazish aur hai

thukta bhi duKHtar-e-raz par nahin mast-e-alast

jo ki hai us fahisha par ghash wo fahish aur hai

tab kya ham-tab howe us se KHurshid-e-falak

aaftab-e-dagh-e-dil ki apne tabish aur hai

sab miTa den dil se hain jitni ki us mein KHwahishen

gar hamein malum ho kuchh us ki KHwahish aur hai

abr mat ham-chashm hona chashm-e-dariya-bar se

teri barish aur hai aur us ki barish aur hai

hai to gardish charKH ki bhi fitna-angezi mein taq

teri chashm-e-fitna-za ki lek gardish aur hai

but-parasti jis se howe haq-parasti ai 'zafar'

kya kahun tujh se ki wo tarz-e-parastish aur hai

(927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tufta-jaanon Ka Ilaj Ai Ahl-e-danish Aur Hai In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Tufta-jaanon Ka Ilaj Ai Ahl-e-danish Aur Hai is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Tufta-jaanon Ka Ilaj Ai Ahl-e-danish Aur Hai for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Tufta-jaanon Ka Ilaj Ai Ahl-e-danish Aur Hai in PDF.